Ankh se door na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega
–Ahmad Faraz
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se pehle
Khuda Bande se puche bata teri raza kia hai
– Allama Iqbal
Hai justaju ke khoob se khoob tar kaha
Ab dekhiye thairti hai jaakar nazar kaha
– Altaf Hussain hali
Kaun kahta hai ki aasman main soorakh nahin ho sakta
Ek patthar to tabiyat se uchalo yaron
– Dushyant kumar
Ghulo.n me.n rang bhare baad- e naubahaar chale
Chale bi aao ke gulshan ka kar-o bar chal
– Faiz Ahmad Faiz
Mai akela hi chala tha janib-e-manzil magar
Log saath aate gaye karva banta gaya
– Majrooh Sultanpuri
Rah-e-daur-e-ishq me rota hai kya
Aage aage dekh hota hai kya
– Mir Taqi Mir
Girte hain shahsawar hi maidan-e-jung mein
Woh tifl kya gire jo ghutno ke bal chale
– Mirza Azeem Beg
Bazicha-e atfal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o roz tamasha mere aage
–Mirza ghalib
Peene de sharab masjid mein baithkar warna
woh jagah bata jahan khuda nahin
– Mirza Ghalib