Poetry Hub

Kon Kehta Hai Maut Aaye To Mar Jaunga (Ahmed Nadeem Qasmi) – Urdu Poetry

urdu-poetry-nazm-ghazal-kavita-sher-shayri-saavan.in (45)

Kon kehta hai ke maut aayi to mar jaunga
main to dariya hun samandar mein utar jaunga
tera dar chod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sahara mein bikhar jaunga
tere pehlu se jo uthunga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paunga jidhar jaunga
ab tere shahar mein aaunga musafir ke tarah
saya-e-abr ke manind guzar jaunga
tera paiman-e-vafa reh ke divar bana
warna socha tha ke jab chahunga mar jaun ga
charasazon se alag hai mera mayar ke main
zakhm khaunga to kuch aur sanvar jaun ga
ab to khurshid ko dube hue sadiyan guzarin
ab use dhundhane main ta-ba-sahar jaunga
zindagi shamma ke manind jalta hun “nadeem”
bujh to jaunga magar subah to kar jaunga.